Saturday 9 February 2013

Mitti hun main...roz banti hun main
tere pyar k liye roz bahane chunti hun main

kitni chubhan le kar har din naya aata hai
tere intezaar k liye phir aankhey malti hun main

din ka har pehar uljhano se bhara guzar he jata hai
raat bhar ka ghutta safar gin gin basar karti hun main

mat puch afsos kitna hai apni har sans par mujhe
rokne se bhi rukti nahi…...Uff… kitni bebas hun main

ye din na jaane kab tak gujarengey kayamat se mujhe par
har pal bass jaise mar mar kar jee rahi hun main

ek tujhe paney ke liye khud ko tanha.n chodd kar
teri yaadon mein apne pyar ke rang bhar rahi hun main……

No comments:

Post a Comment