Thursday 20 December 2012

M Mohtaaj nahi.......

Mere pyar k liye har din khaas h , m kisi pal ki mohtaaj nahi
Mere yaar k liye meri har sans h, m kisi baat ki mohtaaj nahi

Waqt hum sa nahi raha manti hun par m kisi ki mohtaaj nahi
Tumhe pyar kiya bahut m kisi shart , kisi vajhe ki mohtaaj nahi

Har din cahati tumhe har pal ko sadiyon sa jeya tere liye
Teri nazar teri bafwon ki m mohtaaj nahi

Tumhare liye mera kal bhi tha, aaj bhi hai or kal bhi rakhungi
Tumhara pyar sanjon kar rakhi hun , m kisi yaad ki mohtaaj nahi

Tumhare shikve-gile m kyun yaad rakhu, kyun sochu jo nahi hai
Y janam nahi to phir saath hongey kabhi, m zindagi ki mohtaaj nahi

Pyar sahi tha ….M sahi the …bass waqt galat tha or kuch tum
Hun kuch ancahai rahon par, m kisi manzil ki mohtaaj nahi

No comments:

Post a Comment