Monday 29 October 2012

Kagaaz ke phulon m agr khushbu hoti
To phir m bahar k aane ka intezaar na karti

Teri chaaton m agar wo baat hoti
To tere lout aane ka bharam na rakhti

Itne he asaani s pure ho jate aarman dil k
To yunhi har pal teri yaadon m na guzara karti

Baat agar sirf tere ruuth jaane ki hoti
To m bhi tujhe manane m kasar na rakhti

Fharebi se badle tune apne har andaaz
Tu hai he nahi wo jis ka main atebaar karti

Ban kar agar bigadti hai duniya khuab ki
To phir aise khuabon ki m kabhi tamanna na karti

Mushkil hota hai khamoshi se khule aasman m yaaden ginna
Pata hota to ……….piyu kabhi mohabbat nahi karti

Kagaaz k phulon m kaash khushbu hoti
To main tere bheje murzhae phulon m khushbu na talashti ……

No comments:

Post a Comment