Monday 18 June 2012

Soch k samandar m kuch yun dubey k ubhar na paye pehar talak…
Likhti kabhi mitati rahi….panney alag karti rahi derr talak….

Kuch h jo dil s nahi jata….koi h jo paas nahi aata….
Na jaane kya nazar aata h durr talak….

Din anjaane , raat ajnaabi har baat kuch gumsaayi si….
Lab kholu par shabd nahi padtey kyun na jaane kaano talak…..

Khamosh rahun to guttan lagey, ro dun to chubhan lagey….
Badtaa h y sannata meri ….ruuh talak…..

Ho kar apna beganaa wo….katra rahe chalaava jo…
Phir bhi kyun h intezaar uska kayamat talak……….

Na samjah paun m…..kis baat s m parehsan rahu….
Hone ko ab kya reh gayaa……phir kyun sunti hun aawaze dhadkano talak….

Soch ka samandar ……or m dubbi he rahi sehar talak…….

No comments:

Post a Comment